Hadith — Famous & Authentic Only
Har hadith ke sath authentic book + number diya gaya hai. Arabic sirf us hadith ki di gayi hai jo site par pehle se verified hai; baqi ka mafhoom diya gaya hai, taake ghalat Arabic text publish na ho.
“Actions are but by intentions.” — har amal ka daromadar niyyat par hai. إِنَّمَا الْأَعْمَالُ بِالنِّيَّاتِ
Sahih al-Bukhari 1
Mafhoom: Islam paanch cheezon par qaaim hai — Allah ke siwa koi mabood nahi aur Muhammad ﷺ Allah ke Rasool hain is ki gawahi, namaz qaaim karna, zakat dena, Hajj karna, aur Ramadan ke roze rakhna.
Sahih al-Bukhari 8
Mafhoom: Tum me se koi shakhs us waqt tak momin nahi ho sakta jab tak wo apne bhai ke liye wohi pasand na kare jo apne liye pasand karta hai.
Sahih al-Bukhari 13
Mafhoom: Taharat (pakeezgi) iman ka aadha hissa hai.
Sahih Muslim 223
Mafhoom: Tum me se behtar wo hai jo Quran seekhe aur sikhaye.
Sahih al-Bukhari 5027
Mafhoom: Ilm haasil karna har Musalman par farz hai.
Sunan Ibn Majah 224
Mazeed mashhoor ahadith verified batches me isi page par add hongi — har hadith book + number ke sath hi publish hogi.
Also see: Quran — all 114 Surahs • Khatam Sharif • Home